Muhammad talha khan Quran and Islamic
No reviews yet

Ki fazilat
Quran majeed Allah ki aakhri kitab hai jo logo ki hidayat ke liye nazil ki gai. Iska padhna aur samjhna bahut zaroori hai. Quran padhne walo ki Allah Tala ne bahut fazilat bayan farmai hai.
Tilawat ke aadab me ye hai ki, Tilawat karne wala qibla ki taraf sar jhuka kar adab aur waqar ke saath Ustad ke samne baith kar tilawat karne wale ki tarah baith kar tilawat kare. Masjid me namaz ke andar Quran ki tilawat karne ka sab se ziyada sawab hai. Bistar par late kar hifz se quran padhne me bhi sawab hai magar kam hai. Jaisa ki Allah tala ne irshad farmaya :
الذین یذکرون اللہ قیاما و قعودا و علی جنوبھم ویتفکرون فی خلق السموات والارض

Wo Jo Allah tala ko khade baitjhe aur apne pahluwo par lete yaad karte hain aur aasman o zameen ki paidaish par gaur karte hain.
Hazrat Ali ne farmaya jo shaksh namaz me khade hokar Quran padhta hai Uske liye har harf par 100 nrkiya likhi jati hain. Jo shaksh baith kar namaz padhta hai uske liye har harf par 50 nekiya hain. Aur jo shaksh namaz ke bahar ba wazu quran ki tilawat karta hai uske liye 25 nekiya hain. Aur jo bagair wazu Quran padhta hai uske liye 10 nekiya hain. Quran ki dekh kar tilawat kar bagair dekhe tilawat karne se afzal hai. Isliye ki Quran ka choona, uthana, dekhna sab sawab ka kaam hai.

Quran ke sawab ko mamooli samjhne wale ko tanbeeh
Hazrat Abdullah bin umar radiallahi anhu se riwayat hai ki Rasoolullah sallaahu alaihi wasallam ne farmaya : Jis ne Quran phir usne ye samjha ki jo usko sawab mila hai usse badhkar kisi ko sawab mil sakta hai to us ne yaqeenan usko mamooli samjha jis ko Allah tala ne azeem kiya ha

Subjects

  • Quran Beginner-Expert

  • Hadees Beginner-Expert

  • Qaida Noorani Beginner-Expert

  • Al Quran & Islamic Studies Beginner-Expert

  • Hadees and Quran with Tarjuma Beginner-Expert


Experience

  • .. (May, 2019Jul, 2021) at KArachi
    Asslamo alikum me alim ho or quran or hadees perhane ka bhi mujhe tajarba ha allah ke fazal se

Education

  • Islamic banking (Oct, 2021Aug, 2023) from Virtual university karachi

Fee details

    Rs2,5003,000/hour (US$8.9710.76/hour)


Reviews

No reviews yet. Be the first one to review this tutor.